Sunday, October 08, 2006

Zindagi Ke Safar Main..

Zindagi ke safar main guzar jaate hain jo mukaam
Woh phir nahin aate, woh phir nahin aate

Phool khilte aain, log milte hain
Phool khilte hain, log milte hain magar
Patjhad main jo phool murjha jaate hain
Woh baharon ke aane se khilte nahin
Kuchh log ek roz jo bichhad jaate hain
Woh hazaron ke aane se milte nahin
Umar bhar chahe koi pukaara kare unka naam
Woh phir nahin aate, Woh phir nahin aate
Zindagi ke safar main...

Aankh dhokha hai, kya bharosa hai
Aankh dhokha hai, kya bharosa hai suno
Doston shaq dosti ka dushman hai
Apne dil main ise ghar banane na do
Kal tadapna pade yaad main jinki
Rok lo rooth kar unko jaane na do
Baad main pyaar ke chahe bhejo hazaron salaam
Woh phir nahin aate, Woh phir nahin aate
Zindagi le safar main...

Subah aati hai, shaam jaati hai
Subah aati hai, shaam jaati hai yunhi
Vaqt chalta hi rehta hai rukta nahin
Ek pal main ye aage nikal jaata hai
Aadmi theek se dekh paata nahin
Aur pardey pe manzar badal jaata hai
Ek baar chale jaate hain jo din-raat subah-O-shaam
Woh phir nahin aate, Woh phir nahin aate
Zindagi ke safar main..


This is an excellent song from the film Aap ki kasam sung by Kishore Kumar. Anand Bakshi has written one of the best songs in the history of Bollywood. The author puts the facts of life in such simple words - that you are left mesmerized!

5 Comments:

Anonymous Anonymous said...

salaam :)

October 13, 2006 9:23 PM  
Blogger Suji said...

I love this song.

October 29, 2006 7:41 PM  
Blogger Manish Kumar said...

sadabahaar geet !

October 31, 2006 7:24 AM  
Anonymous Anonymous said...

Naya Saal Mubarak ho Abhas !

January 02, 2007 8:19 AM  
Anonymous Anonymous said...

can someone please tell me the name of the movie in which this song was picturized "Zindagi Ke Safar Main

November 11, 2007 8:13 PM  

Post a Comment

<< Home