Thursday, May 25, 2006

Yaad piya ki aaye...

Yaad piya ki aaye
Kaisa tha woh vaada, kaisi nibha rahi ho
Tere bin kaise rahu main, kyun durr jaa rahi ho

Yaad piya ki aaye
Humne tumko jo diya, tumne bhula diya
Tumse humko jo mila, yaadon mein bas gaya
Tum wahi ho meri jaan ho, vaada kiya tha meri rahogi

Taaron ki jhilmil chaandani raaten
Labon se labon ki wahi mulakaaten
Sadiyon se hai purani teri meri kahaani
Yaad karo tum sajana, tu hai meri zindagaani
Kaisa tha woh vaada, kaisi nibha rahi ho
Tere bin kaise rahu main, kyun durr jaa rahi ho
Humne tumko jo diya, tumne bhula diya
Tumse humko jo mila, yaadon mein bas gaya

Baali umariya suni re dagariya
Joban beeta jaaye haay raam
Kitne kareeb the sard hawa mein
Zulfen sanwari baahon ne thaame

Mujhse ruth na tera, phir se mera manana
Yaad karo tum sajana, mujh mein tera sunana
Kaisa tha woh vaada, kaisi nibha rahi ho
Tere bin kaise rahu main, kyun durr jaa rahi ho

A beautiful song by Abhijeet in the album Lamahe. Most of the songs from the new album are melodious, and particularly this song.