Hajaar raahe mud ke dekhee
Lakh kasmein deen, laalach diye par jaane waale laute nahin,
Sirf raahon par udte hue sannaton ka ubaar chhod gaye,
Kab tak koi sannate phankta rahega, zindagi to chalti rahti hai,
sirf gile reh jaaten hain, aur wafaoon ke jhuke hue sajde,
Shayad koi aaye, koi aawaj de kahin se.
Hajaar raahe mud ke dekhee, kahee se koee sadaa naa aayee
Badee wafaa se nibhaayee tum ne, humaaree thodee see bewafaee
Jahaa se tum mod mud gaye the, ye mod ab bhee wahee pade hai
Hum apane pairon mein jaane kitane, bhanwar lapete huye khade hai
Kahee kisee roej yoo bhee hotaa, humaaree haalat tumhaaree hotee
Jo raat hum ne gujaaree mar ke, wo raat tum ne gujaaree hotee
Tumhe ye jid thee ke hum bulaate, humei ye ummeed wo pukaare
Hai naam hothhon pe ab bhee lekin aawaaj mein pad gayee daraare

4 Comments:
Bahut jyada samajh nahi aaya :((
Amazing lines of Gulzar. Pehli baar jab ye cassete suna tha Fursat ke Raat Din to ye lines as a prologue to this song man ko choo gayin thi.
tumhari is post ne phir un yaadon ko taaza kar diya.
@nisheet, avi
Hear this song from the film Thodi see bewafai. You will understand it and love it.. really!
@manish
Thanks, this was one song which touches me deep. It shows how small things can create problems in a relationship, and yet, how difficult it is to forget them.
Post a Comment
<< Home